Lanat Bar Dushmane Zahra - Mesum Abbas Lyrics
Singer | Mesum Abbas |
Lanat Bar Dushmane Zahra Lyrics
Lyrics:
Lanat Bar Dushmane Nabi, Lanat Bar Dushmane Ali, Lanat Bar Dushmane Zahra!
1. Ay Ahle aza aao suno ghum ka ye qissa,
Jis beti ko keh-te the Nabi Umme Abiha
Ummat ne usse bad-e-Nabi khoob rulaya
Darbar me makhdooma e alam ko bulaya
Aaj talak roti he dunya, haan bari mazloom he Zahra
2. Kya ajr e risalat ye Muhammad (s) ko mila he
Us ghar ko jala dala, jahan deen pala he
Shehzadi pe jalta huwa darwaza gira he
Ay momino sar peeto ye gham sab se bara he
Ghurbat e Haidar ka khulaasa, haan bari mazloom he Zahra
3. Socho toh Musalmano sitam aysa huwa kyun
Shehzadi ko darbaar me bulwaya gaya kyun
Siddiqa e konain ko jhutlaya gaya kyun
"Mai jhoot nahi bolti" ye kehna para kyun
Dil ye tumhara bhi kahe ga, haan bari mazloom he Zahra
4. Tareekh me mil ta he qayamat ka ye manzar
Jab ghusl o kafan dene lage Zahra ko Haidar
Jis waqt nazar aya unhe pehlu shikasta
Ek cheekh uthi zor se rone lage Maula,
Nauha he ye sher e khuda ka, haan bari mazloom he Zahra
5. Is gham ke tasawwur se laraz-ta he mera dil
Jo log muslaman the sab ho gaye baatil
Naam unke tabarre me kiya kar ta hun shamil
Mohsin ke bhi qatil hein woh, Zahra ke bhi qatil
Hashr talak me toh kahunga, haan bari mazloom he Zahra
6. Baad e paighambar e Islam raha kuch bhi nahi
Us ki taqdeer me matam ke siwa kuch bhi nahi
Ma siwa dard ke, daman me raha kuch bhi nahi
Haye kyun binte Nabi, ye sitam seh ti rahi
Jab ke darwaza gira, keel baazu me chubhi
Silsila barh ta gaya, bass gayi Karbobala
Chal gayi Shah pe churi, aa gayi sham e jafa
7. Ek roz me Zahra ka bhara ghar huwa barbaad
Mardon me faqat zinda bache Baqar o Sajjad
Sab qaidi bane Shaam chale, maai’le faryaad
Darbar me zalim ke gayi Zainab e nashaad
Kehti rahi saaniye Zahra, haan bari mazloom he Zahra
8. Mismaar baqayyah me huwa marqad e Zahra
Is gham me likha Mazhar o Mesum ne ye Nauha
Ab baarwey Sarkaar banayenge woh roza
Phir hoga wahaN dushman e Zahra pe tabarra
Goonje faza'oN me ye nauha, haan bari mazloom he Zahra
Qatilaan e Zahra pe laanat, laanat
Shimr o Hurmala pe laanat, laanat
Dushman e aza par laanat, laanat
Dushman e wila par laanat, laanat
Laanat bar Hinda jigar-khwaar
Lanat bar ibn-e-Muljim e bad-kaar
Lanat bar Yazeed e mai-khwaar
Lanat bar dushman e Mukhtaar
0 Comments